Monday 23 April, 2007

Meri Muskuraahat


Rota hoon, na-rone ka natak karta hoon..
Ashq ponch kar, ankhon mein hansi jahir karta hoon..

Darta hoon, himmaton ki numayish karta hoon..
uske khone ka dar dil mein liye, seena taan ke chalta hoon..

Pal pal marta hoon, aur zindagi se pyar jataata hoon..
Dard ruswaai ka sehkar, muskuraata rehta hoon..

Zakhm bhare pade hai, khud ki jism-o-jaan pe..
Auron ki dawa-o-dua mein laga rehta hoon..

Sochta hoon, Ab aur jee kar bhi kya karoon main..
Mar kar bhi kya paoonga, yeh soch kar saans leta rehta hoon..

Ab in saanson ki keemat chaahiye mujhe..
Is liye Khud muskurakar auron ko bhi hansaata rehtaa hoon...


(genuinely uttams)

1 comment:

Anonymous said...

Amazing Uttam Ji........

Zakhm bhare pade hai, khud ki jism-o-jaan pe..
Auron ki dawa-o-dua mein laga rehta hoon..

Nacheez's
ये जो मोहब्बत है, ये उनका है काम ।

वो खिलती सुबह है, मैं ढलती हुई शाम ।

हम दोनों के बीच बस एक रात की दूरी है,

इश़्क तो बहुत है लेकिन ये दुनिया एक मज़बूरी है ।