Monday 16 June, 2008

Doori


Main kahaan door hoon tumse
Zara tumahaare chaaron or dekho

Wahin tere anchal me zari ban ke guntha hoon
Wahin tere chehre se til ban ke lipta hoon
Wahin tere takhiye pe ek baal banke bikhara hoon
Wahin tere mez par kitaab ban ke baitha hoon
Wahi tere daraaz mein kalam banke leta hoon

Main kahaan door hoon tumse
Zara tumahaare chaaron or dekho

Tumhe meri kami kyon lagti hai
Teri nigaahon mein nami kyon hoti hai
Kya nahin hai jor khud par
Ya nahin hai aitbaar mujh par?

(Genuinely Uttam’s)