Tuesday 23 October, 2007

Yaadein..the haunting memories


1.
Yaadon se gila hai humein aur khwaabon se shikayat hai,
Hamaari Naakaamiyaan,inhi ki badaulat hain,
Yaadein Raat bhar Jagaati hain
aur khwaab din bhar sulaate hain!!
(Genuinely Uttam's)

2.
Jab kali khilke bani phool bagiya me.. Tera muskurana yaad aaya..
Jab ghire baadal asmaan me.. Tera woh julph jhatkaana yaad aaya..
Tumne kaha tha bhool jao hume..
Kya karoon tera khayal mujhe har dhadkan ke baad aaya..
(Genuinely Uttam's)

3.
Barish aayi aur chali gayi,
Teri yaad aayi aur thehar gayi,
Ab is sard raat ko gujaarun kaise,
Neend aate aate jaane kahaan reh gayi!
(Genuinely Uttam's)

4.
Dil se dilbar ka aks mitado to maane..
Yaadon se na-jaanewale ko bhulaa do to jaane..
Hum na bhhool sake teri narm julfon ka ek resha..
Tum meri garm saanso ko bhulado to maane..
(Genuinely Uttam's)

5.
Yaadon ne aapki, jagaane ki koshish kee,
Khwabon ne phir se sula diya..
Khwabon ne bakshi, neend mein bhi hansi,
Jab jaage, yaadon ne phir se rula diya!!!
(Genuinely Uttam's)

1 comment:

Raj said...

Yaadein Raat bhar Jagaati hain
aur khwaab din bhar sulaate hain!!
Veri decent presentation of "Raat" and "Khuwab"...Uttamji I feel it but have no words to express...even then something like this.....

*****घायल किया जब अपनों ने*****
घायल किया जब अपनों ने, तो गैरों से गिला किया करना |
उठाये हैं खंजर जब अपनों ने,तो ज़िन्दगी की तमन्ना किया करना ||