Sunday 1 July, 2007

Tu Nahi To Na Sahi!!!


Tu nahi to na sahi
Main to hoon, Zindagi bhi hai..

Teri nazaron ke karam na sahi
Khuda to hai, bandagi bhi hai..

Tere honthon ki rangat na ho mere paas,
Phool to hain, khushboo bhi hai..

Na ho chahe teri baahon ki garmi,
Sooraj to hai, roshni bhi hai..

Tere aasre ki kami to hai,
Magar khud sambhalne ki aadat bhi hai..

Main bhi jee sakta hoon tere bina,
Kyon ki.. Tu khush hai, yeh khushi bhi hai!!


(Genuinely Uttam's)

5 comments:

Unknown said...

hi,this ws cool n touchin!did u rite it?r u an engineer?

Anonymous said...

Uttam Ji,

Aab Kya Kahoon, Aneesha Ji, Ne ISspe comment toh Sabse pehleKiya,
Pur Yeh Sabse Pehle Nacheez Ka Hai......Kyonki Sabse Pehle Yeh Nacheez Ne Hee Sunee The,
Anyways,
The Best & Most Touching Lines are : -
Na ho chahe teri baahon ki garmi,
Sooraj to hai, roshni bhi hai..

And My Special Lines for you.......
ये जो मोहब्बत है, ये उनका है काम ।

वो खिलती सुबह है, मैं ढलती हुई शाम ।

हम दोनों के बीच बस एक रात की दूरी है,

इश़्क तो बहुत है लेकिन ये दुनिया एक मज़बूरी है ।

Regards,
Nacheez

Uttam said...

Thank you Aneesha..
Ya It's my original creation and yes I am an engineer!!

Unknown said...

Hi,you write quite good man.keep going on.............

Vinayak Yaligar said...

HI anna what a lines....!!very nice.Magar unki bahon ki garmi jaisa nahi hota sooraj ki garmi