Thursday 6 September, 2007

Alvida


Unki meethi si baat ka hum bura kaise maante?
Itni adaa se unhone alvida kahaa ki hum muskurakar haath hila baithe!!


Shayad unki aadat thi muskuraane ki
Hum bhi hanste hanste unse dil lagaa baithe!


Hum jaante the unki manzil kahin aur hai
Magar jaane kyon ummeed ke diye jalaa baithe!


Jaate jaate kafaa ho gaye hum se
Jaane hum kya khata kar baithe!


Khush rahein woh rahein kahin bhi
Hum bhi fir se khush rehne ki aas lagaa baithe!
(Genuinely Uttam's)

2 comments:

Raj said...

Utam Ji
Hum jaante the unki manzil kahin aur hai
Magar jaane kyon ummeed ke diye jalaa baithe!
Very nice, My verson:
Tum hi to ho unki manzil ke rahi ye unhe pata hai,
Umeed ka diya bhuja na dena unka dil abhi kora kagaj hai.
Priyraj

Unknown said...

Shayad unki aadat thi muskuraane kiHum bhi hanste hanste unse dil lagaa baithe!

Hum jaante the unki manzil kahin aur haiMagar jaane kyon ummeed ke diye jalaa baithe!

As always bahut ache!!
Kya baat hai haste haste dil laga baithe..

Keep it up